Wednesday, September 21, 2011

Aaj ka Education

Aaj ka education aap dekheige to paayege ki education ka bajarikaran ho gaya hai. Aaj uchchh skhisha prapt karna yani ki jyada paise kamana, Jindgi me sukh shuvidha ka aana hi tak samjha jaata hai. Aaj ki shiksha ka dristikaun samaj ke kalyan hetu kaam karna nahi rah gaya. Aaj ki shiksha kitabi shiksha rah gayi jisme logo ka charitra chitran nahi hota unhe ye shikhaya di jaati hai ki wo exam me jyada se jyada number kaise laaye. Aaj ki shiksha dene ki paddhati duty matra rah gayi hai ki shikshak ko bas apna course khatm karna hai unhe is baat ki bilkul chinta nahi hai ki bachchhe sikh rahe hai ki nahi.Aaj ki shiksha prapt karne ka dristikaun bilkul badal gaya hai. Aaj log exam pas kar kisi company me placement to le lete hai par unme khhud ko duniya ke samne sabit karne ki ichchhasakti nahi hoti.Unko bachpan se shikhaya jaata hai ki exam pas karna yani ki gyan arjit hona. Me exam pas karne ke pratipaksh me nahi huin mera kahna hai ki exam surprise hone chahiye jisse pata chale ki bachchhe ne kitna sikha hai eisa nahi ki wo ek din me chhijo ko rat ke aaye aur use exam ke din udel diye. Shiksha ka ye katai matlab nahi hona chahiye ki aapko number kitne aaye, aap kis company me kaam karte ho, aap ki pad pe ho. Shiksha ka ye matlab hona chahiye ki aapke andar kisi kaam ko karne ki kitni tatparta hai, aap apne kahe huye kathno ko kitna charitarth me batalte ho, aapme me chunotiya sahne ki kitni kshamta hai, aapke jivan ka uddeshy kya hai,aap apne se chhoto ko, bado ko, sahpathi ko, junior ko, senior se kis prakar ka sambandh rakhte hai. Eesi hi bahut si baate hai jo shiksha ki pahchan hoti hai. Shiksha ki sirf ye pahchan nahi hoti ki aapko kitni badi badi baate karni aati hai, shikash ki pahchan ye hai un badi badi baato ko aap kitna apne jivan me daalte hai aur dusro ko iske prati kitna prerit kar paate hai. To bahut jaruri hai shiksha ke maayne badalne ki.
                                                            Aaj me dekhta huin ki jyadadar logo ka lakshya jivan me settled hona hai. Koi sarkari naukri mil jaaye ya wo nahi to private hi sahi. Naukri pake wo nishchint ho jaate hai. Unki nind tab tutti hai jab upar se koi kaam ka dabab aata hai otherwise wo nishchint hoke soye rahte hai. Apne dimag se wo kaam nahi karte hai. Balki upar se diye gaye kaam ka execution karte hai. Kahne ka matlab logo ko ek dayere me baandh jaate hai aur wo usi ke charo aur chakkar lagate rahte hai. Jabki unme ye ikchchhasakti honi chahiye ki koi bhi kaam me kuchh naya karna aur use aur bhi behtar aur prabhavi banana.


Aaj mukh rup se do taraha ke log hote hai: pahla jo paise ke liye kaam karte hai aur dusra jinki prathmikta pahle kaam hoti hai fir paisa hota hai. To jaruri hai dono tarah ke logo ko dhyan me rakhte huye jimmedaariya sopni chahiye. Jaise ki long term kaam ke liye dusre tarah ka aadmi sahi hai aur short term kaam ke liye pahle tarah ka aadmi sahi hai. 

No comments:

Post a Comment