Saturday, September 17, 2011

What is the right education? or How to reach to right education?

Ye Post me ye dhyan me rakh kar likh raha huin ki kaise kisi bachche ko education diya jaaye jisse wo apne life ko successful kah sake aur dusre log bhi maane ki usne achchha kaam kiya hai? Yani ki usne bhi samaj me parivartan me apna yogdan diya ho.
                      Ab Sawal uthta hai kaisi shiksha bachcho ko di jaaye? Aaj ki shiksha pranali me kya sudhar karne ki aawaksakta hai? Kaisa education system banaya jaaye jisse har bachchha sona ho? kahne ka matlab ki wo skillful ho, jisme hunar ho kuchh kar dikhane ki.
                      Aaj ki shiksha pranali me mai dekhta huin ki lakho log graduation karne ke baad bhi berojgar hai, unki degree unhe kaam nahi dila pa rahi hai.Unki 21 saal ki journey unhe itna bhi shikshit nahi kar saki jisse unhe koi kaam mil sake.Wo kaam ki khoj me apne pariwar se dur ek jagah se dusre jagah bhatak rahe hai. Kaam mil jaane ke baad bhi kai jagah par wo shoshit ho rahe hai. Aur kai jagah pe sahi wetan milne par bhi khush nahi hai. Kai log Apna kaam imandaari se nahi kar rahe hai. Logo ki soch apne pariwaar tak hi simit rah gayi hai. kyu chuninda log hi (jaise Abdul kalam, Ambani, Arvind Kejriwal, Sachin Tendulkar, Amir khan) apne kaam ke prati samarpit hote hai?
                      In sabhi ka ek hi karan hai ki sahi shiksha nahi milna. To Question uttha hai Sahi Shikah hai kya?
                      Koi bhi vyakti shiksha kitab padh kar hasil nahi karta. Use shiksha milti hai uske aas pas ke logo se. Wo sabse jyada shiksha grahit karta hai dekh ke aur sun kar. Uske dimag ka vikas uske aas pas ke paryawaran par nirbhar karta hai ki uske aas pas kaise log hai. Kinke nirakshan me, Kis prakar ke logo ke bich wo hai. Kahne ka matlab hai yadi bachchho ko shuru ke samay me (lagbhag 0 se 10 saal ke umra tak) unka margdarshan kiya jaaye to aage chalkar kam dhyan dene par bhi wo apne jivan me safal hoinge.Ye aapne suna hoga ki 'kuchh bhi sikhne ki koi umra nahi hoti' lakin yadi sahi samay pe shikha jaaye to shikhna asan aur samay ki bahut bachat hoti hai. Kahne ka matlab hai yadi aap 40 saal ke vyakti ke haath me pahli baar computer pakda deinge aur yadi aap 12 saal ke bachche ke haath me de deinge to kaun jaldi sikhega. To bahut jaruri hai ki koi bhi kaam sahi samay pe kiya jaaye. Bachchho ke dimag ka vikas shuru ke samay me bahut hi tivra gati se hota hai, us samay uski yaad karne ki kshamta bahut achchhi hoti hai, usi samay ki shikhi hui chije hi uske jivan ka margdarshan karti hai, to jaruri hai ki us samay unhe sahi siksha dena jisse aage chalkar wo apne jivan me sahi faisla kar sake. Ek question yaha uthta hai ki 0 se 10 saal me shikhi gayi shiksha kaise uska margdarshan karti hai?
                      10 saal ke baad uski itni buddhi ka vikas ho jaata hai jisse wo apna decision lene lagta hai. Use kya karna hai kya nahi karna hai decision wo lene lagta hai. To jaruri hai ki yadi bachchho par shuru me dhyan diya jaaye, jisse uske dimag ka sahi vikas ho. Jisse wo aane wale samyo ka sahi mulyakan kar sakega aur aapko aage chal kal apne bachchhe ke future ke prati jyada pareshani nahi uthani padegi. To ab question uthta hai ki kin bato par dhyan diya jaaye?
                      Jaise bhachchho ko khel ke prati prem hota hai usi tarah unme Math, English, Hindi, GK, Computer ke prati prem jagana hai. Unke andar sikhne ki lalak paida karni hai. Unke andar ye aatmvishwas jagana hai ki wo koi bhi kaam kar sakte hai bas uske liye mehnat aur sahi path pe chalne ki aawaksakta hai (ye unke samne sabit karke bhi dikhana hoga jisse wo is baat ki gambhirta ko samajh sake.). Kahne ka mera abhipray hai ki bachchho me jaruri hai ki, kisi bhi chij ke prati ruchi paida karna na ki us par bojh dalna. Ab question uthta hai ki kaise ruchi paida ki jaaye?

No comments:

Post a Comment